Posts

Ek tara

Aaj btaun kahani ek kkubsurat tare ki jisne jindagi me hamari roshni ki ek kiran jagai,  ke tabhi piche se uske kisi chahne wale ne usko awaj lagai.  kya btaun mai kya halat thi meri,  lekin fir bi usko pane ki arzoo barkarar thi meri, aaj bhi wo tara kisi aur ke anchal me chamak raha hai,  lekin khuda ki kasam dosto aaj bhi usko pane ki hasrat hai meri.  kash ki mera khuda mera sath de de,  lekin darta hun ki kahin wo uske sath kuch bura na kar de. akhir chaha humne unko pure dil se,  lekin aisa na ho ki ek din ye dhadkna hi badh kar de. Dhadkan band ho jayegi hume iska gum nahi, gum hai toh sirf itna ki kahin dhadkano ke sath mera khuda uski chahat ko na khatam kar de.   Uska pyar mere jindagi ki saugat hai issi liye toh aaj bhi hume unki aas hai, Ye toh hum kahte nai ki usko chahne wale me hai kami koi , lekin mere doston burai toh hum me bhi nai. mana ki aaj unko iss pyar ki qadar nai,  lekin aap bhi kahenge ki pagalon ki...

Jindagi Ki Hakikat

Jindagi ka khel bhi bada ajeeb hota Hai, Koi kisi ko nhi samaj pata hai, Pholon per chalne wale sab mil jate hai, Kanto per chalna bada mushkil Hota hai, Jab kanto per chalna padta hai, tab unhe pta chalta hai, kitna mushkil hota hai ye sab, ye koi na jane na pehchane, Jindagi bhi pholon or kanto ki tarah hoti hai, Jo phol si komal or kanto si kantili hoti hai, Is jivan ki sachai ko jab koi samaj payega Us waqt use Jivan ka matlab samaj aayega, Us waqt wo humse bolenge, Is jivan me rakha kya hai na khone ko na paane ko Ab to bus yahi tammna hai Jivan se chutkara paane ki Jivan se chutkara Paane ki.............

Abhar

Maine Iswar se sakti mangi thi, Taki main kuch ban Sakun Usne mujhe kamjor banaya taki main dusron ki sewa adab se karun Maine Sehat maangi thi taki main bade kaam kar sakun Mujhe durbalata mili taki main jameen se jud sakun Maine Dhan-Daulat mangi thi taki main khush reh sakun Mujhe garibi mili taki main bhudiman ban sakun Maine rutaba manga tha taki log mujhe sarahe Mujhe ashayay banaya taki main iswar ko na bhul sakun Maine sab chije mangi thi taki mera jivan khushal ho Mujhe sirf jivan mila Taki main jivan ko samaj sakun Maine jo bhi manga tha nhi mila taki main kuch kar sakun Jo nahi manga woh mila taki main kuch ban sakun Taki main kuch ban sakun.................

Jindagi

Tammna hi to hai jine ki jo ji gaye hum warna kab ke mar gaye hote  warna kab ke mar gaye hote jindagi se narajgi hai to sirf itni ki hume jina to shikhaya magar acha banna na aaya agar hum kuch kar paye jindagi main to smjhenge kuch humne bhi kar dikhaya  kuch humne bhi kar dikhaya tamnna hi to hai jine ki jo ji gaye hum............... jo ji gaye hum warna kab ke mar gaye hote............warna kab ke mar gaye hot jindagi se narajgi hai to sirf itni ki hume acha banna to sikhaya magar burai pe dhyan na aaya magar burai pe dhyan na aaya agar burai pe dhyan aata to kuch kar gaye hote hum kuch kar gaye hote burai ka namo nisha mita dete jag ko sundar bhavishya dete  jag ko sundar bhavishya dete or sab ko khushhali se bhar dete hum bhi kuch kar dete tamnna hi to hai jine ki jo ji gaye hum warna kab ke mar gaye hote warna kab ke mar gaye hote

thoghts abt freindship

freindship is unselfish understanding and kind for it sees with its heart and not with its mind.... freindship is the answer that everyone seeks. freindship is the language that every heart speaks... freindship cann't be bought, it is priceless and free, freindship like pure magic is a sweet mystery....

dosti

pholon se najuk bandhan hai dosti kabhi kanto ki chuban hai dosti rait main kachi diwar hai dosti akhand visvas ka naam hai dosti balidan ka naam hai dosti ekta ki shaan hai dosti agar dost banao to dosti nibhao na dil todo na gala ghoto dost wo jo har pal saath nibhaye dosti ki khatir jaan bhi daav per lagaye dosti hai rista pyar ka pyar se hai nibhana dosti logon ko dost to mil jate hain per kya dosti ka matalb jaan pate hain kahin aisa na ho dosti ke prem se bhara baadal barse or sab shukhe hi reh jaye per aaj humne samjha hai dosti ek aisa rishta nahi jab ji chahe tod diya mitti ka khilona nahi jo khel khel main tod diya dost agar bhichad bhi jaye to yaadon ke sagar me dub jaye bhulna chahkar bhi humse bhulaya na jaye

guru gyan

bhagwan ne jisko banaya tumne jisko paya jo hamare jivan me ujiyala bankar aaya bhagwan ne jisko gyan se sajaya tumko jisne padhaya jo hamare jivan me ujiyala bankar aaya bhagwan jisko divya jyoti se tumhare man main laya vah amar gyan hai jo tumne apne guru se paya tumhare guru ne jo gyan apne guru se paya wahi gyan hai jo usne tumko shikhlaya usi gyan ko padhkar apni manjil tak pahunch jaoge guru gyan ka yahi divya prasad pakar sab shikchit ho jaoge