dosti
pholon se najuk bandhan hai dosti
kabhi kanto ki chuban hai dosti
rait main kachi diwar hai dosti
akhand visvas ka naam hai dosti
balidan ka naam hai dosti
ekta ki shaan hai dosti
agar dost banao to dosti nibhao
na dil todo na gala ghoto
dost wo jo har pal saath nibhaye
dosti ki khatir jaan bhi daav per lagaye
dosti hai rista pyar ka
pyar se hai nibhana dosti
logon ko dost to mil jate hain
per kya dosti ka matalb jaan pate hain
kahin aisa na ho dosti ke prem se bhara baadal barse
or sab shukhe hi reh jaye
per aaj humne samjha hai
dosti ek aisa rishta nahi jab ji chahe tod diya
mitti ka khilona nahi jo khel khel main tod diya
dost agar bhichad bhi jaye to yaadon ke sagar me dub jaye
bhulna chahkar bhi humse bhulaya na jaye
Dosti ek dard hai jisse dur hi raho toh acha hai
ReplyDelete