Posts

Showing posts from 2009

thoghts abt freindship

freindship is unselfish understanding and kind for it sees with its heart and not with its mind.... freindship is the answer that everyone seeks. freindship is the language that every heart speaks... freindship cann't be bought, it is priceless and free, freindship like pure magic is a sweet mystery....

dosti

pholon se najuk bandhan hai dosti kabhi kanto ki chuban hai dosti rait main kachi diwar hai dosti akhand visvas ka naam hai dosti balidan ka naam hai dosti ekta ki shaan hai dosti agar dost banao to dosti nibhao na dil todo na gala ghoto dost wo jo har pal saath nibhaye dosti ki khatir jaan bhi daav per lagaye dosti hai rista pyar ka pyar se hai nibhana dosti logon ko dost to mil jate hain per kya dosti ka matalb jaan pate hain kahin aisa na ho dosti ke prem se bhara baadal barse or sab shukhe hi reh jaye per aaj humne samjha hai dosti ek aisa rishta nahi jab ji chahe tod diya mitti ka khilona nahi jo khel khel main tod diya dost agar bhichad bhi jaye to yaadon ke sagar me dub jaye bhulna chahkar bhi humse bhulaya na jaye

guru gyan

bhagwan ne jisko banaya tumne jisko paya jo hamare jivan me ujiyala bankar aaya bhagwan ne jisko gyan se sajaya tumko jisne padhaya jo hamare jivan me ujiyala bankar aaya bhagwan jisko divya jyoti se tumhare man main laya vah amar gyan hai jo tumne apne guru se paya tumhare guru ne jo gyan apne guru se paya wahi gyan hai jo usne tumko shikhlaya usi gyan ko padhkar apni manjil tak pahunch jaoge guru gyan ka yahi divya prasad pakar sab shikchit ho jaoge

andhyari galiyan

kanto per chalne wali hun pholo ki sayya kya janu jab apno ko hi bhul gayi main bhul bhulayia kya janu ye dharti mera bistar hai or amber meri chadar hai main khel rahi tufano se mera apna jivan patjhad hai tukadon per palne wali hun main dhudh malai kya janu kanto per chalne wali hun pholo ki shayia kya janu apna dhukhmay jivan bita in andhiyari galiyon me aaj talak main rahi hun wanchit dunia ki rang ralion se parhit me arpit tan man dhan main ta-ta thaiya kya janu kanto per chalne wali hun pholo ki sayya kya janu jivan se sikha hai main aansu pina muh ko sina shikh liya dunia se maine ghut-ghut kar jina main guru charno main line rahi main ram ramyya kya janu kanto per chalne wali hun pholo ki sayya kya janu